THINKING OF TODAY

Sunday, July 17, 2011

Mujhe Mera Pyar Chahiye

Jo bani ho Mere lye
Jis ke lye mai Jee raha hoon
Jo kahe Hum saath hain Tere
Jise dekhne k liye Tarap raha hoon
Ek aisa hi Dildaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Aane se jis ke Phool bhi Sharma jaye
Chalne se jis ke Hawa bhi Tham jaye
Ho har Waqt rahe saath mai Mere
Chahe saari Duniya Mujh se Rooth jaye
Aisa hi kisi ka Aitbaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Jis ki ek Hansi k liye
Mar jane ko Dil kare
Jo kehde ek baar to
Phir Jeene ko Dil kare
Aisa hi Ek Humsafar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye
Ek baar mili thi Mujhe woh
Par pata nahi kaha kho gayi
Ab agar mil jaye toh
use kahi jane na doon
Wohi khoya Yaar chahiye
Bus Mujhe Mera Pyar Chahiye

Tuesday, April 19, 2011

Vande Matram

Please See This

Tum Chalo to Hindustan Chale

Sabhi ko sabh kuch nahi milta,

Unki galiyoon se jab guzre to manzar ajeeb tha

Unki galiyoon se jab guzre to manzar ajeeb tha,
Dard tha magar wo dil ke kareeb tha,
Jise hum dhoondhte the apni hathoon ki lakeeroon mein
Wo kisi doosre ki kismat, kisi aur ka naseeb tha.


............ ......... ......... ....

Khuda kare ki pyar me kisi ka dil na toote
Jaise rutha mera sanam kisi aur ka na ruthe
Rota hai dil aur toot jate hain sapne
Ankhon ke aansoo bhi nahin hote hain apne


............ ......... ......... ....



Kaash wo nagme humein sunaye na hote,
Aaj unko sunkar ye aansu na aaye hote,
Agar is tarah bhul jaana hi tha,
To itni gehrai se dil mein samaaye na hote..


............ ......... ......... ....

Neend aankhon main nahin, khwaab kho gaye
Tanha hi the, kuch aur tere bin hum ho gaye
Dil kuch tadap utha, zuban bhi ladkhadai
Teri yaad main do aansu chupke se beh gaye !

Saturday, April 16, 2011

हिंदी कविता-कुछ अनकही कुछ विस्मृत स्मृतियाँ /Ashutosh Nath Tiwari: सत्य से साक्षात्कार

हिंदी कविता-कुछ अनकही कुछ विस्मृत स्मृतियाँ /Ashutosh Nath Tiwari: सत्य से साक्षात्कार: "आज अचानक हो गया सत्य से सामना, करना पड़ा मुझे सत्य से साक्षात्कार, कटु ही सही,पर सत्य तो सत्य है. आज भी है,कल भी था. कल भी रहेगा ….. स्वीका..."