THINKING OF TODAY

Thursday, March 14, 2013

Aaj Phir Dil Udaas Hai..........

Ae dil humein vo phir se yaad aaye hue hain,

aaj phir hum unn gamon ka bojh utthaaye hue hain,

Mere paas na aane ki kucch wajah rahi hogi,

kahin toot na jaaye bhram, ghabraaye hue hain,

Kaii baar sheesha toota hai patthar ke haathon se,

na pehli baar hai jo chot khaaye hue hain,

Kisi aur ne dar pe tere dastaq dee hogi,

hum to tujhe sadiyon se bhulaaye hue hain,

Mere ghar ke saamne vo aaye hain,

ae naseeb kisi aur se milne, dil ko samjhaaye hue hain.

Sunday, July 17, 2011

Itna to mere haal par ehsan kiya kar,

Itna to mere haal par ehsan kiya kar,
Ankhon se mera dard pehchan liya kar,
Kuch sath de safar me bohat thak gaya hon mein,
Kuch pal hon tere saath meri maan liya kar,
Afsaney Mohabat k adhurey na chor tu,
Jurm-e-Wafa ka mujhse har bayan liya kar,
Muddat hui is AAS par thehra hua hon mein,
Bhulay se kabhi tu bhi mera naam liya kar
Kr apni zat se wabasta tu mujhe,
Ho kr Khafa muj se na meri jaan liya kar.

teri khushi na ho shamil, toh phir khushi kya hai

teri khushi na ho shamil, toh phir khushi kya hai

tere bagair jo guzre, woh zindagi kya hai

kayi sadi mai tere pyaar pe, nisaar karoon

ke jab talak mai jiyoon tera interzaar karoon

tujhe mai pyaar karoon, aur itna pyaar karoon

tujhe main pyaar karoon, aur itna pyaar karoon

ke jab talak mai jiyoon, sirf tera intezaar karoon

tujhe mai pyaar karoon, aur itna pyaar karoon

Teri surat meri ankhon main basi kyun h

Teri surat meri ankhon main basi kyun h
Jidhar dekhu udhar bas tu hi kyun hai
Teri yadoon se wabasta meri takdeer hai lekin
tujhe naa paa ker takdeer mujse roothi kyun h
Mujh ko hai khabar nahin aasan tujhe haasil karna
phir bhi yeh umeed mujse yu judii kyun hai
Barson guzar gaye mere is tanhaye main lekin
aaj bhi meri sanso se aati teri khushbu kyun h
Teri chahat ki kasam khoon ke aansoon roya hu
Ab agar nahi hai kuch baki to phir ye jaan baki kyun h

Zuban se jab bhi niklegi bas ik fariyad niklegi.

Zuban se jab bhi niklegi bas ik fariyad niklegi.
Ye dil jab bhi tatologe tumhari yad niklegi.

Na yun khamosh baitho tum hamara dil dhadakta hai,
Kuch tum kaho kuchh ham kahe baat se baat niklegi.

Meri sanse, meri dhadkan, zahan main bas rahi yaden,
Kabhi kuchh dena chahenge yahi saugat niklegi.

Wo pal jab sochte hain dil ki dhadkan thamne lagti hai,
Teri yadon main royenge bas aise raat niklegi.

Khuda ke waste kahdo tumhe ham yad hain ab bhi,
Tamnna mere dil ki kya yun hi barbad niklegi.

Main Aisa Kyo hu

Kyon khush ho jata hun main
tumhari khushi dekhke
kyon ho jaata hun main hataash
tumhein udaas dekhke…

Chahak sa uthta hun main kyon
jab milne ki baari aati hain
par kyon milne baad ghanto
neend nahi aati hain…

Aankhein band karne se kyon
yaad tumhari aati hain
par jab khulti hain toh
kyon phir tu samne aati hain…

Aanso tere tapakte hain
to main kyon sisakta hun
jara si tu hasti hain
toh main kyon nikharta hun..

Jab bhi dekhta hun tumhe
bas yeh sochta hun
pucho tumse ya tumse kahun
rakhun dil mein ye baat ya keh dun…

Sun jara bas itna bata
Main aisa kyon hun
Main aisa kyon hun…

Door se dekha,

Door se dekha,
Kisi ke sath ja raha tha vo.
Awaaz aa rahi thi jaise,
Gunguna raha tha vo.
Masti me chalta aise,
Itraa raha tha vo.
Nazdeek pahunche to,
Tasweer hi badal gayi.
Na chahte huye bhee,
Aankhe machal gayi.
Akela hi tha vo us din,
Ladkhada raha tha vo.
Vo ro raha tha us din,
Ghabra raha tha vo.
Dooor se na pahchaana,
Vo kaun shakhs tha,
Kohra ghana tha us din,
Vo hamara hi aks tha.